Sunday, 7 August 2016

AANDRIOAD APP BANANE KA TARIKA.

AANDRIOAD APP BANANE KA TARIKA


Online Android Apps Kaise Banaye Janiye Hindi Me


Apne Site Ke Liye Apps 

Banane Ke Fayde


sabse pehle mai aapko ye bata deta hu ki android 
apps aapke site ka hoto aapke visitor ise download 
karke kuch sikh sakte hai

aap logo ko ye malum hi hoga ki aaj kal sabse jyada
 android apps market me aaraha hai iska matlab ye 
hua ki kuch dino bad sab logo ke pass smart phone 

(Android phone) ho jayega isliye agar aapka apna site 
ya blog hai to aapko iski jarurat pad sakti hai


Android Apps Se Paise

 Kama Sakte Hai Kya

mai aapko ye bhi bata deta hu agar agar aap
 chahe to khud ka android apps banaker paisa
 bhi kama sakte hai jaise aap apne site me 

ads laga ke kamate hai waise hi aap apne apps
 me ads lagaker paise kama sakte hai aur iski 
jankari mai aapko aage batane wala hu


Android App Kaise 

Banate Hai OnlineOnline


Step 1:

sabse pehle aapko is site ko open karna hai
www.appsgeyser.com aap apne browser me 
type karke search kare


Isko open karne ke bad create now par click kare



Step 2:

Ab aapke samne jo page open hoga usme aapko a
pne apps ka category ko select karne ko puchega ki 
aap apna apps kis liye banana chahte hai 
Example: website-browser-massenger news etc.

Step 3:

agar aap apna apss website ke liye banana 
chahte hai to aap WEBSITE par click kare

Step 4:

ab jo page khule ga isme aapko apne site ka url dalna hai

uske bad aapko NEXT ki buttom par click karne hai

Step 5:

Ab aapse apne apps ka naam dalne ko bolega usme aap apne apps ka name dale
             yaha par aap apne site ka tital bhi rakh sakte hai

uske bad aapko NEXT ki buttom par click karna hai

Step 6:

Ab aapko ye kahega ki aap apne app ka description dale aapko yaha par apne apps ke bare me dalna hai ki aapka apps kis bare me hai

phir aapko NEXT ki buttom par click karna hai

Step 7:

b last me create app ki buttom par click karde

             Ab aapka apps ban chukka hai ab agar aap ise download ya publish karna chahte hai to sabse pehle aapko Sign Up Karna hoga chaliye jante hai kaise



Step 8:

Sign Up form bharne ke bad aapko Sign Up par click karna hoga

Apne App Ko Publish Kaise Karte Hai


agar aap apne app ko apne site me lagana chahte hai
 to Dashboard me publish par click kare




uske bad niche ek box me html code hoga usko copy karle uske bad aapko us code ko apne site me lagane ke liye layout me jaye uske bad aapko jaha bhi apne app ko dikhana chahte waha Add a gadget par click kare uske bad aapko HTML JAVA SCRIPT  par click kare uske bad jo box open hoga usme niche us code ko paste karde aur uper tital me jo dalna chahte hai wo dalde

No comments:

Post a Comment